“Neem Ka Ped” Title Song with Lyrics – “Mu Ki Baat sune har koi” Jagjit Singh

Posted: April 16, 2011 in My Music

Mu ki baat sune har koi, dil ke dard ko jaane kaun !!
Aawazon ke baazaron mein khamoshi pehchaane kaun!!

Mu ki baat sune har koi !!

Sadiyon sadiyon vahi tamasha, Rasta rasta lambi khoj !!
Lekin jab hum mil jaate hain, Kho jaata hai jaane kaun!!  (Twice)

Aawazon ke bazaaron mein khamoshi pehchane kaun !!
Muh ki baat sune har koi !!

Woh mera aaena hai aur main uss ki parrchhai hun. (Twice)
Mere hi ghar mein rehta hai, mujh jaisa hi jaane kaun !!

Aawazon ke bazaaron mein khamoshi pehchane kaun !!
Muh ki baat sune har koi !!

Kiran kiran alsaata suraj, palak palak khulti neend
dheeme dheeme bikhar raha hai, zarraa-zarraa jaane kaun !!

Munh ki baat sune har koi, dil ke dard ko jaane kaun !!
Aawazon ke baazaron mein khamoshi pehchaane kaun  !!
Mu ki baat sune har koi !!

Want to listen this song :- Watch it here  –

Comments
  1. uLTIMATE SONG & TOUCHABLE SERIAL I WAS IN 7TH STNDRD & I LOVE THE SONG SO MUCH

  2. varsha says:

    yes i also hated it,but now seems my life is like that

Leave a comment